PDF kaise edit kre – Aajkal PDF ka use har department me hota hai aur esi bich hame kai bar use edit or correction karne ki jaroorat parti hai jaise hum usme se bank detail ya fir mobile number hatana chahte hai ya fir read only file ki kisi form entry ko hatana chahte hai to me aaj aapko ek aise hi tarika batane ja raha hu jisase aapki ye problem solve ho jayegi. Aap sikh jayenge ki “pdf kaise edit kare” Eske liye aapko ek web tool ki help leni hogi.

How to edit pdf in hindi
Time needed: 1 minute.
En steps ko follow kare or PDF me editing kre
- Niche diya gya web-address open kare.
- PDF file upload kare.
Yaha apni wo PDF file Upload kare jise aap edit karna chahte ho.
- PDF file me correction kare.
Top me show ho rahe Tools ki help se apni file me correction kare.
- PDF me correction apply kare.
Edit karne ke bad Apply Changes par click kare.
- New PDF ko download kare.
Kuch second rukne ke bad download option show hoga jis par click kar apni correction ki hui file download kare.